ye hai meri kahani
khamosh zindagani
sannata keh raha hay
kyon zulm seh raha hay
ek dastaaan purani
tanhai kee zubani
hay zakhm khil raha hay
kuch mujh say keh raha hay
chubtay kantay yadon kay
damaan say chunta houn
girtee deewaron kay
aanchal main zinda houn
bus ye meri kahani
benishan nishanee
ek dard beh raha hay
kuch mujh say keh raha hay
[bajaye pyar kee shabnam meray gulistan main
barastay rehtay hain har simt maut kay saaye
siyahiyoon say ulat partee hain meri ankhain
koi nahin koi bhi nahee
jo bataye kitnee ujalon kee rah dekhon ga
koi nahee hai koi bhi naheee
na paas na duur
ek pyar hay dil ki dharkan
apni chahat ka jo ailaan kiye jati hai
zindagi hai jo jiye jati hay
khoon kay ghoont piye jati hai
khaab kantoon say siya jati hai]
ab na koi paas hai
phir bhi ehsaas hai
diyahiyoon main uljee pari
jeenay kee ek aas hay
yadoon ko jungle ye dil
kantoon say jal thal ja dil
...
~~ "Zinda houn" by strings. brilliant song! it brings back the memories of the past, of the day, of the moment, when i had met her!
and i so much wish she had never come in my life.